Gør som tusindvis af andre bogelskere
Tilmeld dig nyhedsbrevet og få gode tilbud og inspiration til din næste læsning.
Ved tilmelding accepterer du vores persondatapolitik.Du kan altid afmelde dig igen.
Zero Mile ek aisi series hai jo hamare chir-parichit shahron ko ek nayee nazar se dekhti hai. Is serieski har kitaab ek aise jane-maane lekhak ki kalam ki den hai jo us shahar se gahra lagaaw rakhte hain,lekin shahar ke vibhinn pahluon kaa tatasth hokar vishleshan bhi karte hain. Iski pahli kadi ke roopme Patna shahar par yeh kitaab prastut hai.Isme kavi-kathakar Sanjay kundan ne shahar kebuniyaadi charitra ko pahchanne ki koshish karte hue iske janjeevan ki jhaanki pesh ki hai. Unhon neshahar me aa rahe Badlavon ko rekhankit kiyaa hai aur iski kuchch sthaayi samasyaaon ki charcha bhiki hai.Yeh na to Shahar kaa itihaas hai, na sansmaran, na hi samajshastriya vivechan lekin isme in tinon kitaqat aur rochaktaa samaahit hai. Zero mile Patna is shahar ko likha ek prem patra hai-aur har prempatra ki tarah isme pyaar bhi hai , shikaayat bhi, dulaar bhi hai aur anban bhi.
Tilmeld dig nyhedsbrevet og få gode tilbud og inspiration til din næste læsning.
Ved tilmelding accepterer du vores persondatapolitik.